Panchhi Nadiyan Pawan Lyrics Refugee - Alka Yagnik, Sonu Nigam
Panchhi Nadiyan Pawan Lyrics Refugee - Alka Yagnik, Sonu Nigam
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Refugee
Singers: Alka Yagnik, Sonu Nigam
Song Lyricists: Javed Akhtar
Music Composer: Anu Malik
Music Director: Anu Malik
Music Label: Saregama
Starring: Abhishek Bachchan, Kareena Kapoor
Release on: 30th June, 2000
lyrics
Uparwaale ne mohabbat Ke sadke mein Hum sab ke liye yeh Dharati banaayi thi Par mohabbat ke dushmano ne Is par lakeere khichkar Sarhade bana di Main jaanata hoon woh log tumhe Iss paar nahi aane denge Magar yeh pawan jo tumhaare Yaha se hokar aayi hai Tumhe chhukar aayi hogi Main ise saans banaakar Apne sine mein bhar lunga Yeh nadiya jispar jhukkar Tum paani kiya karte ho Main isake paani se apne Pyaase honto ko bhigon lungi Samjhungi tumhaare Honton ko chhu liya
Panchhi nadiya pawan ke jhonke Koi sarhad na inhe roke Panchhi nadiya pawan ke jhonke Koi sarhad na inhe roke Sarhad insano ke liye hain socho Tumne aur maine kya paya insan hoke Panchhi nadiya pawan ke jhonke Koi sarhad na inhe roke Sarhad insano ke liye hain socho Tumne aur maine kya paya insan hoke
Jo hum dono panchchhi hote tairte Hum is neel gagan mein pankh pasare Saari dharti apni hoti Apne hote saare najare Khuli fizao mein udate Khuli fizao mein udate Apane dilo mein hum Saara pyar samaake Panchhi nadiya pawan ke Jhonke koi sarhad na inhe roke Sarhad insano ke liye hain socho Tumne aur maine kya paya insan hoke
Jo main hoti nadiya aur tum Pawan ke jhonke to kya hota Jo main hoti nadiya aur tum Pawan ke jhonke to kya hota Pawan ke jhonke nadi ke Tan ko jab chhute hain Pawan ke jhonke nadi ke Tan ko jab chhute hain Lehare hi lehare banti hain Hum dono jo milte to kuch aisa hota Sab kehte ye lehar lehar Jaha bhi jaaye inko na koi toke Panchhi nadiya pawan ke jhonke Koi sarhad na inhe roke Sarhad insano ke liye hain socho Tumne aur maine kya paya insan hoke Panchhi nadiya pawan ke jhonke Koi sarhad na inhe roke.