Naa Toh Karvan Ki Talash Hai Lyrics Barsaat Ki Raat - Asha Bhosle, S D Batish, Manna Dey, Mohammad Rafi, Sudha Malhotra
Naa Toh Karvan Ki Talash Hai Lyrics Barsaat Ki Raat - Asha Bhosle, S D Batish, Manna Dey, Mohammad Rafi, Sudha Malhotra
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Song: Naa Toh Karvan Ki Talash Hai
Movie: Barsaat Ki Raat
Singer(s): Asha Bhosle, S D Batish, Manna Dey, Mohammad Rafi, Sudha Malhotra
Music By: Roshan
lyrics
Naa toh karvan ki talash hai, naa toh humsafar ki talash hai Mere shauke khaana kharab ko, teree rehgujar ki talash hai
Mere namurad junu kaa hai, ilaj koyi toh maut hai Jo dava ke nam pe zeher de usi charagar ki talash hai
Tera ishk hai meree aarju, tera ishk hai meree aabru Dil ishk jism ishk hai aur jan ishk hai Iman ki jo puchho toh iman ishk hai Tera ishk hai meree aarju, tera ishk hai meree aabru Tera ishk mai kaise chhod du, meree umra bhar ki talash hai
Jansojh ki halat ko jansojh hi samjhega Mai shamaa se kehta hu mehfil se nahi kehta kyonki Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Sahar tak sabka hai anjam jalkar khak ho jana Bhari mehfil me koyi shamma ya parwana ho jaye kyonki Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Vehshate dil rasmo didar se roki naa gayi Kisi khanjar kisi talvar se roki naa gayi Ishk majnu ki woh aawaz hai jiske aage Koyi laila kisi diwar se roki naa gayi, kyonki Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Woh hanske agar mange toh ham jan bhi de de, Ha yeh jan toh kya chiz hai, iman bhi de de, kyonki Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Nazo andaz se kehte hain ki jina hoga Zeher bhi dete hain toh kehte hain ki pina hoga Jab mai pita hu toh kehte hai ki marta bhi nahi Jab mai marta hu toh kehte hain ki jina hoga Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Majhabe ishq ki har rasm kadi hoti hai Har kadam par koyi diwar khadi hoti hai Ishk aazad hai hindu naa musalman hai ishk Aap hi dharm hai, aur aap hi iman hai ishk Jis se aagah nahi shekho barhaman dono Uss hakikat kaa garjata huwa ailan hai ishk
Ishk naa puchhe din dharm nu, ishk naa puchhe jata Ishk de hatho garam lahu vich, dubiya lakh barata ke Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Rah ulfat ki kathin hai ise aasaan naa samajh Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Bahut kathin hai dagar panghat ki Abb kya bhar laun mai jamuna se matki Mai jo chali jal jamuna bharan ko Dekho sakhi ji mai jo chali jal jamuna bharan ko Nand kishor mohe roke jhado toh Kya bhar laun mai jamuna se matki Abb laj rakho more ghunghat pat ki
Jab jab krishn ki bansi baji, nikali radha sajake Jan ajan kaa man bhula ke, lok laj ko taj ke Janak dulari ban ban doli, pahan ke prem ki mala Darshan jal ki pyasi mira pi gayi vish kaa pyala Aur phir araj kari ke Laj rakho rakho rakho - (2) Yeh ishk ishk hai, ishk ishk - (2)
Allah rasul kaa farman ishk hai Yae hafiz ishk hai, kuran ishk hai Gautam kaa aur masih kaa arman ishk hai Yeh kaynat jism hai aur jan ishk hai Ishk sarmad, ishk hi mansur hai, ishk musa, ishk kohenur hai Khak ko but aur but ko devta karta hai ishk Inteha yeh hai ke bande ko khuda karta hai ishk