Mahabharat Katha Lyrics Mahabharat - Mohammed Rafi
Mahabharat Katha Lyrics Mahabharat - Mohammed Rafi
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Mahakavi shri vedvyas Ki aarathi sabhi utarat hai Jinki lekani se nikala yeh Mahakavya mahabharat hai
Bahut din bite purani baat hai Aaj tak jo vishw mein vikhyath hai Hastinapur naam ki thi Ik yahan nagari badi Heere panon motiyon ki Aab se jab mag jadi Jiske upar chandra Vanshi rajavon ka raj tha Jiske raja pandu par Saari praja ko naaz tha Is katha mein zor hai Aandhiyon kaa shor hai Bheem arjun kaa parakram Draupadi ki hai vyatha Jisne di bharat ko geeta Wo mahabharat katha Yeh mahabharat ki katha Yeh mahabharat ki katha
Pandu se pandav huve Dhritrashtra se kavrav huve Ik zameen ke kalank duje Jagath ke gaurav huve Dusht duryodhan adharm Ki raah par chalne laga Nij chachere bhaiyon se Vyarth hi jalne laga Kintu pandusut yudhisthir Dharam ke avtaar the Bhai se bhai na jhagade Unke shudh vichaar the Krishna ka upadesh hai Manata sab desh hai Bheem arjun kaa parakram Draupadi ki hai vyatha Jisne di bharat ko geeta Wo mahabharat katha Yeh mahabharat ki katha Yeh mahabharat ki katha
Ay rakhi bandhawane wale Kaha chupe ho krishna murar Panch pandavon ki panchaali Bhari sabha mein kare pukaar Dharamraj bane juvari Jhooti sid par ad gaye Pandavon ki akal par bhi Haaye pattar pad gaye Kauravon ki nagntha par Paap yeh chadne laga Mahabharat mein pralay Ka beej yeh padne laga Dusht dushasan adharmi Vastra keche jaa raha hai Thak gaye yeh haath par Saadi ka ant na aaraha Purush wo haathon mein Jinke dharam ki talvaar ho Inke haathon mein hai Saadi veeratha dhikaar ho Laaj naari ki na jaaye jo Jagath ki maat hai Iske izzat abaru pyaare Prabhu ke haath hai Shashtra sab yodha liye Chup hai sar neecha kiye Chakrdhari ne mitaayi Draupadi ki yeh vyatha Jisne di bharat ko geeta Wo mahabharat katha Yeh mahabharat ki katha Yeh mahabharat ki katha
Sukh jaata hai dukh aata Dukh jaata hai sukh aaata Kintu pandavon ke jeevan Ka dukh hi dukh se naata Likha bhagya ka kabhi na Tal tha honahaar hoti hai Dekh pandavon ko banavasi Dharati bhi roti hai Dharam raj kehelane wale Chhod ke ghar sansaar chale Sang draupadi ban ban bhatake Raj paat sab haar chale Arjun ka ghandeev aaj nahin Is vipada kaa bhar hare Gadha bheem ki mahabali Ke kandhon par araam kare Ab na mile aakash hi chat Hai dharti inka bichona hai Raj vanshiyon ko ab tho Ban ke kanton par sona hai Bhari baiti door anokhe Beej naye boti hai Dekh pandavon ko banvasi Dharati bhi roti hai
Jungle mein mangal chaaya Hai bhulgaye wo pichle pal Panchali ke liye bheem Nikale hai laane swarankamal Saamne yeh kaun jiska Rang bhi ranga ang hai Vridh hai vanar magar Kya josh hai kya umang hai Puch inki shakti shaali Raah mein bajarang hai Jai pawan putr mahaan Jai jai banture balwaan Jai hey raam priya hanumaan
Chakrvuh ka chakr ghira Hai kavrav dal ki chaal hai Aaj kaal ki chaati par Abhimanyu jaisa bal hai Saamne is vuh mein Pehele jaidrath aagaye Veer abhimanyu ke haathon Yeh bhi muki khagaye Pehele socha maar daalun Kya yahi satkarma hai Phir kaha na maarana Murchit ko ghor adharam hai Chalkapat ki yeh ladaayi Dekh kar hoti vyatha Saat yodhavon se ladate Ek balak ki katha Yeh mahabharat ki katha Yeh mahabharat ki katha
Saamne dekha khade Yeh karan sar uncha liye Ban abhimanyu ka chuta Dhanush ke tukde kiye Hila dushasan ka aasan Wo bhi bhaga kampa ke Kaun aage aayega Jwalamukhi is aag ke Ablo dekho bhanajon bhanjon Ke pyaare mama aagaye Aaj yeh pase na palte Ulte jhasan kha gaye Idhar dekho dhanur dhari Shalya sajdhaj kar khada Yeh bhi toota istarah jun Daal se pata jhada Jwal bhadaki aaj duryodhan Ki bhi na khair hai Aaj vish uglega yeh Sadiyon purana bair hai
Sab ne socha istarah Balak yeh baaz na aayega Kutniti se ise maro Tabhi mar jaayega Ik taraf saathon maharathi Ek taraf balak akela Phir bhi jab tak pran tan Mein kshatriyon ka khel khela Vah vah pyare bhatije Tujh se ujwal vansh hai Aa gale mille ghadi bhar Tu humara ansh hai Is tarah ik chaal kapati Chhali duryodhan chala Gale milne ke bahane Nij bhatije ko chhala Pit par abhimanyu ke Ik baan dhoke ka chala.