Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics Pyaasa - Mohammed Rafi
Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics Pyaasa - Mohammed Rafi
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Pyaasa
Singers: Mohammed Rafi
Song Lyricists: Sahir Ludhianvi
Music Composer: Sachin Dev Burman
Music Director: Sachin Dev Burman
Music Label: Saregama
Starring: Guru Dutt, Mala Sinha, Waheeda Rehman, Johnny Walker, Rehman
Release on: 19th February, 1957
lyrics
Ye kooche ye nilaam Ghar dilkashi ke Ye kooche ye nilaam Ghar dilkashi ke Ye lutate huye Caaravan zindagi ke Kahaan hain kahan hain Muhafiz khudi ke Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Ye purpech galiyaan Ye badnaam bazaar Ye gumnaam raahi Ye sikkon ki jhankaar Ye ismat ke saude Ye saanson ke taqraar Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Ye sadiyon se bekhauf Sehmi si galiyaan Ye masli huyi adhkhili Zard kaliyaan Ye bikti huyi khokhli Rangraliyaan Jinhen naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Wo ujle darichon mein Paayal ki chhan chhan Thaki haari saanson Pe table ki dhandhan Wo ujle darichon mein Paayal ki chhan chhan Thaki haari saanson Pe table ki dhandhan Ye berooh kamron me Khaansi ki thanthan Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Ye phoolon ke gajre Ye pikon ke chhinte Ye bebaak nazren Ye gustaakh fiqre Ye dhalke badan aur Ye bimar chehre Jinhen naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Yahaan pir bhi aa chuke Hain jawaan bhi Tanomand bete bhi ha ha Abbaa miyaan bhi Ye biwi bhi hai Ye biwi bhi hai aur Behan bhi hai maan bhi Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Madad chaahti hai Ye hawwa ki beti Yashoda ki hamjins Radha ki beti Madad chaahti hai Ye hawwa ki beti Yashoda ki hamjins Radha ki beti Payambar ki ummat Jule khan ki beti Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain
Zara mulk ke Rahbaron ko bulaao Ye kooche ye galiyaan Ye manzhar dikhaao Jinhe naaz hai hind Par unko laao Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain.