Jago Re Jago Lyrics Aaj Ka MLA Ramavtar - Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Jago Re Jago Lyrics Aaj Ka MLA Ramavtar - Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Song: Jago Re Jago
Movie: Aaj Ka MLA Ramavtar
Singer(s): Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Music By: Bappi Lahiri
Lyricist(s): Indeevar
lyrics
Bhrastachar ke khilaf jung hamari Atyachar ke khilaf jung hamari Bhukh se bekari se hai jung hamari Kalabajari ke sath jung hamari (Jago re jago re jago re jago re jago Shuru ho gayi hai aaj jung hamari aaj jung hamari) - (2)
Aaj ka din har sitam ka aakhari din hai - 2 (Shuru ho gayi hai aaj jung hamari aaj jang hamari Jago re jago re jago re jago re jago) - (2)
Ghanghana uthe hai ghan ke gagan girega Nadiyo me pani nahi khun bahega Atal himachal jagah se apni hatenge Kap uthi dharti jwalamukhi fatenge Aaj ka din har sitam ka aakhari din hai - 2 (Shuru ho gayi hai aaj jung hamari aaj jang hamari Jago re jago re jago re jago re jago) - (2)
Kal sadak pe lash mili doshi iska kaun Kal kisi ne khudkushi ki iska doshi kaun Din dahade raste pe laz lut gayi Ye gunah kiska hai ye kiski bhul thi Sardiyo me odhe hai jo kagaji kafan Dhakne ko tan bech diya jisne apna tan Dahak gayi koth pe na bhukh sah saki Jo dahej la na saki jinda jal gayi Aaj ka din sab dukho ka aakhari din hai - 2 Jago re jago re jago re jago re jago Shuru ho gayi hai aaj jung hamari aaj jung hamari Jago re jago re jago re jago re jago
Ye jo ja rahe hai leke unchi sawari Utni gati dhimi hui jitni ye bhari Dukhiyo ki fariyaad kya sunenge ye huzur Janta ki pahuch se hai ye dur bahut dur Aaj ka din sab dukho ka aakhari din hai - 2 Jago re jago re jago re jago re jago Shuru ho gayi hai aaj jung hamari aaj jung hamari Jago re jago re jago re jago re jago
Nariya sukumariya chingariya bani Tod tad ghungte ranchandiya bani (Matribhumi se badi mata nahi koi Desh prem se bada nata nahi koi) - (2)
Aaj ki nari ne ghar ki kaid ko toda Desh ke liye pati ka sath bhi chhoda Desh nahi pyara jinhe pyari gaddiya Pyari gaddiya - 2 Nasht kar rahe hai desh ki jo shaktiya Desh ki jo shaktiya - 2 Chhodni padengi unhe aaj kursiya Aaj kursiya - 2 Chhodni padengi aaj kursiya - 3 Aaj kursiya - 2 Chhodni padengi unhe aaj kursiya Janta uda degi aaj unki dhajiya - 2 Uda degi dhajiya - 2