Humne Suna Tha Lyrics Didi - Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Sudha Malhotra
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Didi
Singers: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Sudha Malhotra
Song Lyricists: Sahir Ludhianvi
Music Composer: Datta Naik
Music Director: Datta Naik
Music Label: Saregama
Starring: Sunil Dutt, Feroz Khan, Shubha Khote, Lalita Pawar
Release on: null
lyrics
Ham ne sunaa thha Ek hai bharat Sab mulkon se Nek hai bharat Lekin jab nazdeek se dekha Soch samajh kar theek se dekha Ham ne naqshe aur hi paaye Badle huye sab taur hi paaye Ek se ek ki baat judaa hai Dharma judaa hai zaat judaa hai Aap ne jo kuch ham ko padhaaya Wo to kahin bhi nazar na aaya
Jo kuch main ne tum ko padhaaya Us me kuch bhi jhoot nahin Aasha se bhaasha na miley to Is ka matlab phoot nahin Ik daali par reh kar jaise Phool judaa hain paat judaa Bura nahin gar yoon hi watan mein Dharm judaa ho zaat judaa Apne watan mein
Wahi hai jab quran ka kehna Jo hai ved puraan ka kehna Phir yeh shor sharaaba kyun hai Itna khoon kharaaba kyun hai Apne watan mein
Sadiyon tak is desh mein bachchon Rahi hukumat gairon ki Abhi talak ham sab ke munh par Dhool hai un ke pairon ki Ladwaao aur raaj karo Yeh un logon ki hikmat thhi Un logon ki chaal mein aana Ham logon ki zillat thhi Yeh jo bair hai ik dooje se Yeh jo photo aur ranjish hai Unhin videshi aaqaaon ki Sochi samjhi bakhshish hai Apne watan mein
Kuch insaan brahman kyun hain Kuch insaan harijan kyun hain Ek ki itni izzat kyun hai Ek ki itni zillat kyun hai Dhan aur gyaan ko Taaqat walon ne apni jaageer kahaa Mehnat aur ghulaami ko Kamzoron ki taqdeer kahaa Insaanon ka yeh batwaara Vehshat aur jahaalat hai Jo nafrat ki shiksha de Wo dharma nahin hai laanat hai Janam se koyi neech nahin hai Janam se koyi mahaan nahin Karam se badh kar kisi manushya ki Koyi bhi pehchaan nahin
Ab to desh mein azaadi hai Ab kyun janta fariyaadi hai Kab jaayega daur puraana Kab aayega naya zamaana Sadiyon ki bhookh aur bekaari Kya ik din mein jaayegi Is ujde gulshan par rangat Aate aate aayegi.