Ek Thhi Maa Punyakoti Lyrics Godhuli - Dilraj Kaur, Mohammed Rafi, Usha Mangeshkar
Ek Thhi Maa Punyakoti Lyrics Godhuli - Dilraj Kaur, Mohammed Rafi, Usha Mangeshkar
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Godhuli
Singers: Dilraj Kaur, Mohammed Rafi, Usha Mangeshkar
Song Lyricists: Suryabhanu Gupt
Music Composer: Bhaskar Chandavarkar
Music Director: Bhaskar Chandavarkar
Music Label: Saregama
Starring: Kulbhushan Kharbanda, Om Puri, Naseeruddin Shah, Paula Lindsay
Release on: null
lyrics
Is dharaa par ek sundar Desh karnataka jahaan par Ek thha kaalingbaala Hai usi ki ye katha Ped neeche baith jaata Jhoom kar bansi bajaata Maam le le kar bulaata Prem se har gaay ko Aa ri ganga gauri aaja Tungabhadra tu bhi aaja Punya koti maa aaja Aa ri shyama tu bhi aa Bol sun gwaale sab Aa khade hote nikat Wo doodh dohne baithhta To pal mein bhar jaate ghade Ek thhi maa punyakoti Hai usi ki ye katha
Paas parbat ki gufa mein Us ghane jungle mein koyi Baagh rehta thha bhayaanak Aaj thha bhookha padaa Ghaat mein thha Wo jhapat ke Beech kooda jo garaj ke Dar gayi gaayen achaanak Aur bhaagi praan le Laad bachhde ko ladaaun Doodh jaate hi pilaaun Laut kar ghar ja rahi thhi Punya koti sochti Lo mila aahaar mujhko Soch man mein baagh usko Gher aadhe raaste mein Ho gaya giri sa khada Ek thhi maa punyakoti Hai usi ki ye katha
Bhookh se bola tadap ke Main padoonga toot tujh pe Aur tujhe neeche giraa ker Phaad khaaunga abhi Jodti hoon haath tere Laal bhookha raah dekhe Doodh phauran main pilaake Laut aaungi yahaan Praan doon na vachan jaayen Satya hi maa baap bhai Jo vachan todey us par Prabhu nahin karte kripa Ek thhi maa punyakoti Hai usi ki ye katha
Laal baithha Baagh bhookha Main wachan de lautne ka Isliye aayi ke tujhko Aankh bhar ke dekh loon Doodh main kiska piyungaa Bolo kisko maa kahunga Main anaathon sa jiyungaa Kaun dega aasra O mere bachpan ki sakhiyon Ek vinti meri suniyo Ye huaa be-maa ka Isko laal apna jaaniyo Seeng aage taaniyo na Laat peechhe maariyo na Is abhaage ko tum Apne laal jaisa maaniyo Ek thhi maa punyakoti Hai usi ki ye katha
Der na ho soche man mein Gaay bachhde se bichhad ke Jhat gufa ke dwaar pahunchi Aur boli baagh se Peshiyaan lo maans bhi lo Lo jigar ka khoon pee lo Lo mitaa lo bhookh apni Aur bhaai khush raho Bhookh bhula zindagi mein Baagh pehli baar roya Main adham maaroon ise To mujhe dhhikkaar hai Dhanya hai tu behan meri Main na loonga jaan teri Ye kahaa upar se koodaa Praan usne taj diye ae Ek thhi maa punyakoti Hai usi ki ye katha
Naam hari har krishna ka le Har makar sankraanti ko Vansh dhar pooje jo mujhko Poorn ho har kaamna Jo bhi sun le is katha ko Poorn ho har kaamna.