Ek Sher Tha Ek Sherni Lyrics Raju Chacha - Shankar Mahadevan, Shweta Pandit
Ek Sher Tha Ek Sherni Lyrics Raju Chacha - Shankar Mahadevan, Shweta Pandit
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Ek samay ki baat suno Ye baat hai badi puraani Maine tumhaare raaju Chaacha se suni thi ye kahaani
Ik sher tha ik sherni Unke the teen bachche Tum jaise wo shaitaan the lekin Lekin lekin kya paapa Lagte the sabko achhe Chhoti si ik gufa ke andar Chhota sa ik ghar tha Unke jeevan mein na Koi dukh na koi dar tha Maa ke laadle the wo Baap ko jaan se bhi pyaare Hanste gaate mauj udaate Mil ke rahate the saare La la la
Kya hua paapa bolo na Honi ne jaal bichaaya Waha ek shikaari aaya Wo sherni saamne aai Usne bandook chalayi Wo sherni ghaayal ho Gayi chillaai tadpi so gayi Usne phir aankh na kholi Seene mein lagi thi goli Lekin wo marte marte ye Kah gayi chalte chalte Mere saathi mere Sajna in bachhon Ko pyaar se rakhna Tum baap ho bhool na Jaana maa ka bhi Farz nibhaana He baap bhala kya Jaane maa kya hoti hai Bachhon ke sang kaise Hansati kaise roti hai Usane bhi yuun hansana Rona seekh liya Bachchon ke sang Jaagna sona seekh liya Samay ruka phir dheere Dheere chalne laga Man ka ghaav dheere Dheere bharne laga Baap ki ungli thaam ke Bachche chalne lage Maan ke badle baap ki God mein palne lage Saal maheene mausam Aane jaane lage Sher ke bachche phir Se hansne gaane lage
Baaki kahaani kal chalo Bachhon abhi so jaao Oh nahi paapa nahi Paapa please Abhi sunaao na paapa Please abhi abhi Achha baaba to suno
O raahul o rohit o raani Suno aage ab ye kahaani Pada unpe phir gam ka saaya Waha ek babbar sher aaya Wo gurraaya chinghaada aise Ke kha jaayega sabko jaise Wo bachhe to bas dar ke Bhaage magar aa gaya baap aage Shuru ho gaya ek dangal Laga kaanpane saara jungle Darakton pe ja baithe bandar Chhupe saap bhi bil ke andar Kaheen ud gaye sab kabootar Chadhe bhaalu parabat ke upar Lage bhaagne dar ke haathi Na tha sher ka koi saathi Hui khoob jam ke ladaai Babbar ne bahut maar khaayi To bachchon ne taali bajaai.