Badi Tadap Hai Mohabbat Lyrics Miss Chalbaaz - Ismail Azad Qawwal
Badi Tadap Hai Mohabbat Lyrics Miss Chalbaaz - Ismail Azad Qawwal
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Miss Chalbaaz
Singers: Ismail Azad Qawwal
Song Lyricists: Anwar Farrukhabadi
Music Composer: Jimmy
Music Director: Jimmy
Music Label: Saregama
Starring: Helen, Shah Agha, K N Singh, Manju, Rajan Kapoor
Release on: 1st January, 1961
lyrics
Badi tadap hai mohabbat Ki bezubaani mein Ke dil e garib ko maut Aa gayi jawaani mein Bewafaa tune Bewafaa tune qayaamat Ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai Bewafaa tune qayaamat Ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai
Kaun kehta hai tere Dil mein wafadari hai Tu jahannam se udaayi Huyi chingaari hai Tere jalwon mein mohabbat Ka ujaala hi nahi Haaye ab koyi tera Chahane wala hi nahi Lut gayi aabru ulfat Ki to ulfat kaisi Jab tere pyaar mein Dhokha hai to chaahat kaisi Waqt ne mujhse tujhe Teri kasam chhin liya Bewafaaon ne mohabbat Ka bharam chhin liya Is tarah husn ko Badnaam kiya hai tune ae Har jagah pyaar ka nilaam Kiya hai tune ki teri taqdir Teri taqdir mein shohrat Nahi ruswaayi hai Bewafaa tune qayaamat Ki ada paayi hai Bewafaa tune qayamat Ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai
Jo bura hai wohi duniya Ko bura kehta hai Jis mein gairat hai Wo har haal mein chup Rehta hai kaun kehta aa Kaun kehta hai ki tu Husn ka shaidaayi hai Teri baaton mein mohabbat Nahi ruswaayi hai Main jo shirin ki adaaon Ko zara yaad karun Tu to kya hai jise chaahun Use barbaad karun Daaman e dil ko mohabbat Ke asar se bhar dun Sirf majnu nahi laila Ko bhi majnu kar dun Parda e husn se jo Pyaar ka shola nikley Thokare khaata hua Kabr se ranjha nikley Maine dam bhar mein Farishton ka bharam tod diya Shaayaron ne mujhe Dekha to kalam tod diya Baat aati nahi to Baat banana sikho Tir barsana hai to Pehle nishaana sikho Thhodi ulfat bhi zaruri Hai adaawat ke liye Ke saadgi chaahiye izhaar e Shikaayat ke liye ye shikaayat Ye shikaayat nahi Badnaami hai ruswaayi hai Kaun kehta hai ki tu Husn ka shaidaayi hai
Bewafaa tune bewafaa Tune qayaamat ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai Bewafaa tune qayamat Ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai
Maine maana mera dushman Hai har ek naaz tera Phir bhi ulfat mein ye Daawa hai pari naaz mera Chaandni shab ko gham e Hijr se mailaa kardun Tu to kya main jise Chaahun use laila kardun Jalwaa e husn bhi ek Shola e baatil nikla Hum masihaa jise Samjhe the wo qaatil nikla Husn rota hai ki ab Chahane waale na rahe Dil tadapta hai mohabbat Ke ujaale na rahe Jab ye aalam hai to kya Ishq ka izhaar kare Ke bewafaa tu hi bata kaise Tujhe pyaar kare Ke sara aalam Sara aalam teri surat Ka tamaashaayi hai Bewafaa tune qayaamat Ki ada paayi hai Bewafaa tune qayaamat Ki ada paayi hai Ek main hi nahi duniya Teri shaidaayi hai
Kahaan kya pyaar ka Inaam humen dete hain Zulm khud karte hai Ilzaam hamen dete hain Kaun kehta hai ki jalwon Mein ujaala hi nahi Sach to ye hai ki koi Dekhne wala hi nahi Aankh mein raushni Hoti to nazaara karte Is tarah tir andhere Mein na maara karte Husn ki roshni Badnaam nahi hoti hai Pyaar wo shai hai jo Nilaam nahi hoti hai Gaur kar gaur ke ulfat Ka gunahgaar hai tu Waqt ke haath mein chalti Huyi talwaar hai tu teri chaahat Teri chaahat ne bhi Dushman ki ada paayi hai Kaun kehta hai ki tu Husn ka shaidaayi hai
Pyaar karne ka abhi tujh Mein tariqaa hi nahi Bewafaa tujh ko mohabbat Ka saliqaa hi nahi Teri baaton mein shikaayat Ke siwaa kuchh bhi nahi Tere andaaz mein nafrat Ke siwaa kuchh bhi nahi Apni izzat ka koyi Paas nahi hai tujh ko Apni gairat ka bhi Ehsaas nahi hai tujh ko Ishq ke naam ko mitti Mein milaaya tune Husn ka naam zamaane Mein ganwaaya tune Aashiqi jis jagah bikti Hai wo bazaar hai tu Ek tuti huyi paazeb ki Jhankaar hai tu aisi baaton Aisi baaton se to hum Dono ki ruswaayi hai Phir na kehna mera Mehboob bhi harjaayi hai Aisi baaton se to hum Dono ki ruswaayi hai Phir na kehna mera Mehboob bhi harjaayi hai.