Allah Karam Karna Lyrics Dada - Suman Kalyanpur
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Hum sabko nek raah Chalana mere allaah Bandon ko buraai se Bachana mere allaah Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna
Ik vaakayaa sunaati hun Main apni zubaani Apne badon se maine Suni hai ye kahaani Rehtaa thaa kisi shehar Mein ek aisa bhi insaan Jo naam ka muslim tha Magar kaam ka shaitaan
Zaalim ko zor e baazu Pe apne gurur thaa Yaani ke bekhudi mein Khuda se wo dur thaa Sab log use kehte thhe Jallaad sitamgar Maasum ki fariyaad Ka us pe na tha asar Jo waadaa us ne kar liyaa Wo kar ke dikhaayaa Paison ke liye qatl Kiye khun bahaya Ik din wo behtaa khun Asar us pe kar gayaa Insaan zindaa ho gayaa Shaitaan mar gayaa Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna
Imaan jise kehte hain Farmaan e khuda hai Quraan ke har lafz Mein us ki hi sadaa hai Allaah ne bakshi hai Jo imaan ki daulat Ye sab se badi chiz Hai insaan ki daulat Soye huye dilon ko Jagata hai ye imaan Bhatke huyon ko raah Dikhaataa hai ye imaan Imaan ki garmi se Pighal jaate hain patthar Is nur se bante hain Sanwarte hain muqaddar Jo sab se pyaar karta Hai insaan wohi hai Muslim hai wohi Saahib e imaan wohi hai Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna
Jis kaam ke karne pe Na ho raazi koi dil Wo kaam bhi is duniya Mein nafrat ke hai kaabil Jo kuchh bhi zubaan Keh de wo iqraar nahin hai Laghzish hai labon ki Wo gunehgaar nahin hai Jo dil se nahin karta Buraai ka iraadaa Allaah se wo taubaa Kare tod de waadaa Jaldi jo sambhal jaaye Wo nadaan nahin hai Imaan jis mein ho Wo beimaan nahin hai Duniya mein hameshaa To nahin rehtaa andheraa Insaan jahaan jaage Wahin pe hai saveraa Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna
Jo sacche dil se karta Hai imaan ki aarzu Allaah ki nazaron mein Wo hotaa hai surkh ruh Imaan mein kya kya Na sahaa pyaare nabi ne Kya aisi musibat bhi Utthaayi hai kisi ne Karbal ke shahidon ne Sabak hum ko padhaayaa Sajde mein de ke jaan Ko imaan bachaayaa Iss raah mein jo sehte Hain taqlif o musibat Ik roz un pe hoti Hai allaah ki rehmat Insaan hai wo jo dusron Ka dil na dukhaaye Pad jaaye agar jaan Pe to jaan lutaaye Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna.